kia hum waqai bohat jaldi behkjatay hain? koyi bhi cheez ho hamay apni manmani kion karna hoti hai? hum kiyon apne ma baap ki baat most of the times nahi suntay? apni misal hai ke doosroon ki baatoon mai aake mainay apne azizon ko bohat dukh diye hain? magar kiyon?
Re: Behkta Howa Insaan!!
hamen kya pata kiyon diye hain. :halo:
Re: Behkta Howa Insaan!!
behkthaaaaa
Re: Behkta Howa Insaan!!
tum bhi unhi pagal larkiyoon ki tarha nikli …![]()
anyways we learn from our mistakes
Re: Behkta Howa Insaan!!
k337 kia matlab?![]()
Re: Behkta Howa Insaan!!
kia hum waqai bohat jaldi behkjatay hain? koyi bhi cheez ho hamay apni manmani kion karna hoti hai? hum kiyon apne ma baap ki baat most of the times nahi suntay? apni misal hai ke doosroon ki baatoon mai aake mainay apne azizon ko bohat dukh diye hain? magar kiyon?
Aksaar log bohat jald bahak jatain hain. Bahkanay wala shaitan hota hai.
Koi bhi cheez ho munmani hum jub kartain hain jub hum khudgharz ho jatain hain. Is kay ilawa shaitan ki rahon pay chalnay lugtain hain.
Hum Islam say buchpun say baybahra hotay hain aur hamain maloom hi naheen hota kay islam hamain kia kahta hai maan baap kay saath bartao kay baray main to hum apnay parents kay bura bartao kartain hain. Ya baton ko apni kum umri ya na samjhi ki bina par naheen samajhtay to ghalat kartay hain.
Koi baat naheen agar nadani main apnay azizon ko dukh diaan hain to Allah ka shukr ada karain kay us nain na sirf aap ko yay samajh day di kay aap nain ghalti ki hai aur zindagi bhi di kay aap maafi maang sakain.
So dair na kijaay aur forun maafi maangain un sub say jinkay aap nain dil azari ki hain. Kaheen waqt na nikal jaay.
Ghaltian akhir insaan hi karta hai. Her koi aik umr tuk nadan aur na samajh hota hai aur ghaltiaan bhi karta hai.
Magar Kioon ka jawab yay hai kay mera apna aik rule hai kay jub baat kisi ki bhi ho aur khaas tor say meray sagon yani maan, baap, bahn ya bhai ki to main kisi kahnay wali ki unkay khilaaf baat sun to leti hoon per yaqeen zara bhi naheen karti aur pehli fursat main poochh leti hoon. Phir unkay jawab andaz baat aur chahray kay tassurat say baat ko sahi tor say samjhnay ki koshish karti hoon. Is tarha samajhnay main asani hoti hai aur sachchai maloom ho jati hai agar mukummal tor par na bhi samajh aay to kafi hud tuk baat samajh aa jati hai.
Hamaysha koshish karain jo koi bhi kuch kahay kisi kay baray main jub kahnay wala aur jis kay baray main kaha ho donon mojood hon to us waqt poochain baat saaf samajh aa jaay gi. Us say pehlay alag alag main bilkul zikr na karain.
Wo log intehai ahmaq hotain hain (meri nazar main) jo kisi ki baton pay yaqeen kar letain hain apnay azizon kay baray main. Khuwaah such bhi kah rahain ho (yani aap ko aisa gumaan ho raha ho) to bhi (awwal to sunain hi naheen) agar sun bhi lain to yaqeen na karain KABHI NAHEEN, KABHI BHI NAHEEN.
Doosray log (dost, ahbaab rishtaydar) jo budkhuwah hotay hain hamaray hamain bahkatain hain unkay khilaaf jin say wo dushmani rakhtain hain aur kisi aisay uskay apnay ko jaal main phansantay hain jis say to ziada say ziada takleef ya nuqsaan ponhcha sakain.
Aisay log pait main itna ghustay hain kay aapko samajh hi naheen ata aur na hi kabhi yay quman ho sakta hai kay uskay dil main aapkay liaay kitni nafrat aur bughz hai.
Forun azizon say mafi mangain. Khud gharzi chor'ain aur ankh bund kar kay maan baap ka kahna manain khuwaah aapko ghalat lagay ya sahi. Isi main aapki kamyabi hai.
Bohat achchay sawal kiaay aap nain.
Re: Behkta Howa Insaan!!
kyon k hum psycho hain. :(
Re: Behkta Howa Insaan!!
Kon psycho hai sajal sis?
Re: Behkta Howa Insaan!!
Kon psycho hai sajal sis?
Mai. :(
Re: Behkta Howa Insaan!!
Mai. :(
she is talking about "hum" not mai :o
Re: Behkta Howa Insaan!!
she is talking about "hum" not mai :o
tau iss mai bhala mera kia qasoor hai. :(
Re: Behkta Howa Insaan!!
ap ka qasoor? ap ka koe qasoor nahi, ho hee nahi sakta, namumkin
Re: Behkta Howa Insaan!!
yeah u tell em that ![]()
Re: Behkta Howa Insaan!!
Mai. :(
Aap kon kon say kaam psycho walay karteen hain?
Ya
Wo kon say kaam hain jinki bina par aap samajhti hain kay aap psycho hain?
Re: Behkta Howa Insaan!!
Aap kon kon say kaam psycho walay karteen hain?
Ya
Wo kon say kaam hain jinki bina par aap samajhti hain kay aap psycho hain?
aap nay itni dair bad reply kia hai k I forgot hum kis
cheez ko discuss kar rahay thay.
Re: Behkta Howa Insaan!!
itna bhi nahi pata ![]()
Re: Behkta Howa Insaan!!
ab main reply # 16 ke barey main kya kahoon… I’ll pass es se pehley ke PMs ki baarish ho, phir. ![]()
Re: Behkta Howa Insaan!!
tumhain ulti seedhi baaton ke ilwa khuch nahi atta hain ![]()
Re: Behkta Howa Insaan!!
Seedhi ulti kar deta hoon PHIR bhi to koe khush nahi ho ga.
Re: Behkta Howa Insaan!!
phir mods tumhain warning de ker khoosh hon gay