Beewee Ki Jalan

agar us say mohabbat thee
to shaadi humsay kyon kee?
vo patli si bakri hai
daant nikalaay chashma lagayay
idhar udhar phirti hai
baat karnay ki tameez nahi
har baat pe hee-hee karti hai
baal kataayey bethi hai
maim si ban-na chahti hai
shakal to uski dekho
kaalay kaway jaisi hai
kapday to usko dekho
kitnay rang barangi hai
vo kaisi larki hai
koi churail hai
**aur tum ko us say **
**mohabbat thee **
**aur ab bhi hai **
Allah, ye kyaa hai!

Re: Beewee Ki Jalan

I agree

Re: Beewee Ki Jalan

lagta hai aap ko Beewee Ki Jalan ki nazm bahut pasand aayi
Bahut shukriya

Re: Beewee Ki Jalan

naheeN bhai.. aap kee nazam, aap kee beewee, aap kee jalan… sanu kee :phati:

Re: Beewee Ki Jalan

:D

Re: Beewee Ki Jalan

vo aadmi bara shareef hai
beewee se mohabbat karta hai
kisi larki ko vo kaisay dekhay
sab burkon main chuppi hain

kitna kush naseeb hai
apni nazmain likhta hai
beewee uski khush hai
Allah ki nemat hai

Re: Beewee Ki Jalan

Welcome back rkopra :~)

Re: Beewee Ki Jalan

Anwar bhai ko to
Beewee Ki Jalan ki nazm
pasand nahi aayi hai
aap ko kyaa aayi hai
ya unki na-pasandgi ki **
**pasandgi aayi hai

Re: Beewee Ki Jalan

kyaa
aap kyaa kehtay hain
kaun rkopra

Re: Beewee Ki Jalan

miyaaN.. naam badalnaY saY harkataiN naheeN badalteeN :D

Re: Beewee Ki Jalan

kyaa khwaabon main doobay ho
ya kuch peewee kar baithay ho
shairi ki baat nahin kartay
shairon par shak kartay ho

maan liya aap bahut baray shair hain
nayey shairon ko jeenay nahin daitay ho
shak ki kashmakash main paray rehtay ho
Ab Allah se poochain tum kyaa ho

Re: Beewee Ki Jalan

bilkul ab bas yahi option reh gaya hai, so hum Allah tala say duain mangtay hain :D