Bees bachay eik martaba chiriya-ghar gaye

Eik sahab apnay bachon kay saath chiriya-ghar gaye aur guide sey kaha: “Hamein zarrafa dikhayey, ajeeb janwar hota hai.”

Guide nay inkay bachon ki ginti kar kay poocha: “Kiya yeh bees bachay aapkay hain?”

“Jee Haan”, usnay jawab diya.

“Khoob to phir aap zara thairein, mein zirrafa ko lay kar aata hoon, woh khud aapko dekhna pasand karey gaa.”