Chalo kuch dair hanstay hain,
Muhabbat per, Inayat per,
Kay be’bunyad batain hain,
sabhi rishtay sabhi natay,
zaroorat ki hain ejaadain,
kahin koi nahi marta,
kisi kay wastay Janan,
Kay sab hay phhair lafzon ka,
hay sara khail harfon ka,
na hay mehboob koi bhi,
sabhi jumlay say kastay hain,
chalo kuch dair hanstay hain,
usi ko yad kartay hain,
jisay ham Zeest kehtay hain,
kay lena saans bin jis kay,
hamain ik Jurm lagta tha,
kay sang jis kay har ik lamha,
khush-o-khuram guzarta tha,
jisay ham zindagi kehtay,
jisay ham shaairi kehtay,
**ghazal ka Qaafia tha jo, **
tha jo Unwaan nazmon ka,
wo Lehja jab badalta tha,
Qayamat-Khez lagta tha,
waqt say aagay chalta tha,
bala ka tez lagta tha,
jo saya ban kay rehta tha,
juda ab us kay rastay hain,
Chalo Kuch Dair Hanstay Hain,
Mohabbat per, Inayat per,