Beauty by AHMAD FARAZ...

Re: Beauty by AHMAD FARAZ...

Salaam GS
aik zamanay k bad iss forum main qadam rakha aur aik behtareen takhleeq "Faraz" aisay sitmgar ki aap k tawassut say paRhnay ko mili. aap ka shukriyaa.

haaN yeh jo beHs kamzarfi aur aa'la zarfi par aap nay chheRi hai to iss ki wazahat in do sheroN main hai. khud faisla kar leejiyay k kamzarf aur aa'la zarf ki taa'reef kiyaa hai.

Jo aalaa zarf hotay hain woh aa'la shaan rakhtay hain
jo hotay haiN kissi qabil woh itrayaa nahee kartay .

MaiN woh jaam hooN jo khoon e tamanna say bhar chukaa
yeah mera zarf hai k chhalakta naheeN hooN maiN

wasslam
ruswa