Be-zubaan, Be-jaan Say Khandharon

Be-zubaan, Be-jaan Say Khandharon Ka Ye Jungle Hai
Yahan Har Gharri Main Na Jaaney Kya Dhoondhta Hoon

Bheerr Mein Bhi Jahan Har Shaksh Akeila Sa Hota Hai
Wahan Ekk Hum Saaya, Ekk Humsafar, Dhoondhta Hoon

Subah Say Shaam Hoti, Shaam Say Subah Hoti Hai
Yaadon Ke Sahareu Say Koi Apna Sa Dhoondhta Hoon

Raah Par Karwaan To Hazaar Nazar Hotey Hain
Karwaan Mein Koi Chehra Pehchana Dhoondta Hoon

Parchaaiyan Mandlaati Si Aas Paas Nazar Aati Hain
Badley Huwey Chehro Mein Pehchana Dhoondhta Hoon

Be-shak Nigaahon Ka Maila Har Taraf Hai,
Nazar Nazar Mein, Main Pyar Dhoondhta Hoon

Sooraj Bhi Dhalney Ko, chand Bhi Kahin Khoya Hai
Apney Khayalon Mein Koi Chandni Dhoondhta Hoon

Bujhi Huyi Si Ekk Zindagi Paas Mairey Baithi Hai
Roshan Ussey Karney Ke Liye Chiraag Dhoondhta Hoon….

Re: Be-zubaan, Be-jaan Say Khandharon

Zabardast

Re: Be-zubaan, Be-jaan Say Khandharon

nice.

Re: Be-zubaan, Be-jaan Say Khandharon

Very nice.

Bheerr Mein Bhi Jahan Har Shaksh Akeila Sa Hota Hai
Wahan Ekk Hum Saaya, Ekk Humsafar, Dhoondhta Hoon

Itne sare communication ke zara'e ke ba wajood Insaan din ba din tanha kiyun hota ja raha hai?

Re: Be-zubaan, Be-jaan Say Khandharon

v nice fari :k:

muqawwee…maybe pehle bhi insan tanha he tha ?