Be wafayi ki mushkilain

jo tum nay thaan hi li hai
k hamaray dil say niklo gay
ti itna jaan lo pyaray
samander samnay hoga agar sahil say niklo gay
sitaray jin ki ankhon nay hamain ek sath dekha tha
gawahi denay ayengay
puranay kaghzon ki balcony say buhat say lafz jhankan gay
tumhain wapis bulayin gay
kayi waday fasadi qarz khwahon ki tarah rastay me rokain gay
tumhain daman say pakrain gay
tumhari jan khayin gay
chupa kar kis tarah chehra
bhari mehfil say niklo gay
zara phir soch lo jana
nikal to jao gay shayad
magar mushkil say niklo gay

Re: Be wafayi ki mushkilain

Khoooooollll !!!!