Be-Wafai ....

Ab kay Tajdeed-e-wafa ka nahee Imkaa’n Janaa’n
Yaad kia tujh ko dilaein tera Pey’maan janaa’n

Younhi Mausam ki adaa dekh key khayaal ayaa
Kiss qadar jald badal jatey hein insaan janaa’n

Zindagi teri Ataa’ thi so terey naam ki hey
Hum ney jaisey bhi basar ki tera Ehsaa’n Janaa’n

Mudat’tun sey yehi Alam, Na tawa’qu Na Umeed
Dil Pukarey he chala jata hey Jan-e-Janaa’n

Hum bhi kia saa’daa they, Hum ney bhi samhaj rakha tha
Ghum-e-Dooraa’n sey juda hey Ghum Jan-e-Janaa’n

Ab tera Zikr bhi shayad he Ghazal mey ayey
Aur sey Aur hoey Dard key Unwaa’n Janaa’n

Ahmed Faraz

Re: Be-Wafai …

Beautiful:k:

~aur se aur huyay dard ke unwaan jaana~

absolutely wonderful

Younhi Mausam ki adaa dekh key khayaal ayaa
Kiss qadar jald badal jatey hein insaan janaa'n

                          Zindagi teri Ataa' thi so terey naam ki hey 
                          Hum ney jaisey bhi basar ki tera Ehsaa'n Janaa'n 

gr8 one!

this time sunny ji in roman ;) urdu wala nahin samjh gaye ap mera ishara :)

Good one !

Shayari ki hai maine tijarat naheen
Dil main jo bhi khayal aagaya likh diya
Ek khat main likha hasil-e-zindagi
Dosere main tumhain bewafa likh dya

Mera apna na tha koi mere siwa
Main ne chaha kisi ko na chaha gaya
Main ne jitne mohabbat bhare khat likhe
Un pe apne hi ghar ka pata likh diya

Raat parchayiun main basar ho gayee
Chand taare na niklay sahr ho gayee
Parh na paye najumi mere haath ko
Likhne wale ne najaane kya likh dya

Aaj dil ke khundar say guzar ho gaya
Rote rote girebaan tar ho gaya
Aansowon ne tere naam ke saamne
:( Bewafa :( Bewafa :( Bewafa :( likh dya

Re: Be-Wafai …

:k:

:k:
:slight_smile:

buhat khoob
superb , thanx 4 sharing

thx all :)

very nice Sunny Uncel :k:

Very nice :)