**Be-sabab tu na kabhi hum ne bahaye thay aansoo
Jane kyon aaj magar aankh mein aagaye aansoo
Din tu suraj ke ujaloon mein basar kar daala
Dhall gaee shaam tu deepak mein jalaaye aansoo
Aarzo’oon ko dabaaya thaa jahaan hum ne
Us jagah dard ke mausamoon ne ugaaye aansoo
Gardish-e-wakt ne jab haath se cheena saagar
Tashna umeed ko phir hum ne pelaaye aansoo
Woh tamannain jo phooloon mein basi rehti theen
Mar gaeen aaj tu turbat pe charhaaye aansoo
Aap hi apne sulagne ka tamaasha dekho
Kaun ponchayga shab-e-gham mein paraaye aansoo
Yeh jo beh jaayain tu ek bojh uttar jaata hai
Gham galat karne ko qudrat ne banaaye aansoo
Koi merham bhi madaawa na huwa tu aakhir
Hum ne jalte huwe zakhmoon pe giraaaye aansoo
Un ke aane pe bhi kuch haar paroone hoonge
Chashm-e-giriyaa se kaho yun na lutaaye aansoo
Qaabil-e-deed thee anwaar dahnak ke hairat
Hum ne jab baam-e-muhabbat pe sajaaye aansoo**