Chupke chupke raat din aansoo bahaana yaad hai
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai**
Khainch laina woh mera parday ka kona daf’attan
Aur dupattay se tera woh munh chupaana yaad hai
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai …
Chupke chupke raat din aansoo bahaana yaad hai …
Be-rukhi ke saath sun’na dard-e-dil ki dastaan
Woh kalaayee mein tera kangan ghumaana yaad hai
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai …
Chupke chupke raat din aansoo bahaana yaad hai …
Wakt-e-rukhsat ‘Alvida’ ka lafz kehnay ke leye
Woh tere sookhay laboon ka thar’tharaana yaad hai
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai …
Chupke chupke raat din aansoo bahaana yaad hai …
Aa gaya gar wasl ki shab bhi kaheen zikar-e-firaaq
Woh tera roo roo ke bhi mujh ko rulaana yaad hai
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai …
Chupke chupke raat din aansoo bahaana yaad hai …
Do-pehar ki dhoop mein mere bulaanay ke leye
Woh tera kothay pe nangay paaoon aana yaad hai
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai …
Chupke chupke raat din aansoo bahaana yaad hai …
Ba-hazaaraan iztiraab-o-sad hazaaraan ishteyaaq
Tujh se woh pehle pehal dil ka lagaana yaad hai
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai …
Chupke chupke raat din aansoo bahaana yaad hai …*