Be_naam musafir hoon be_naam safar mera

Be_naam musafir hoon be_naam safar mera
Kis rah nikal jaon kuch kah nahi sakta

Be_naam meri manzil be_naam thikana hay
Kis dar pay main ruk jaon kuch kah nahi sakta

Iss paar to roshan hay sara mera rasta
Us paar andhera ho kuch keh nahi sakta

Tinkay ki tarah main bhi beh jaon
Samandar main mil jaye ga kinara kuch keh ahi sakta

Mil jaye gi tabeer mere khawaboon ki ek din
Ya khawab bikhar jayen kuch keh nahi sakta

Re: Be_naam musafir hoon be_naam safar mera

wah.. waise aap ne kabhi new Karachi se KemaRi tak W-11 main safar (suffer) kia hai?

Re: Be_naam musafir hoon be_naam safar mera

Han kia hy.......

Re: Be_naam musafir hoon be_naam safar mera

kiyun apne stop pe neend aa gai thi?

Re: Be_naam musafir hoon be_naam safar mera

Nhi, Kaam sy gaya tha, Aap ny kitni dafa kia hy Safar( suffer)?

Re: Be_naam musafir hoon be_naam safar mera

waise to maine buson main boht **suffer **kiahaiper W-11 main Sohrab Goth se Tower tak safar kia hai

Re: Be_naam musafir hoon be_naam safar mera

ye to mukhtasr sa Suffer hy...
Office tower ki taraf hy Aapka...?

Re: Be_naam musafir hoon be_naam safar mera

yes Chundrigar Road - Wall Street of Pakistan

Re: Be_naam musafir hoon be_naam safar mera

Nice. :k:

Re: Be_naam musafir hoon be_naam safar mera

NICE ENTER10