Be-Naam Aansoo (Nazm)
by Samina
Kal raat achanak…
aik baychaynii nay Dil pay
dastak dii
Aur Mein…
harbara kar uth baithi
Ghabra kar sochna chaha kay
yeh baychayni damangeer kiyon hai?
Kiyon Mera sukoon khafa ho raha hai?
Mein nay socha aur sochti chali gai…
khayaalon ko bikhera,
yaadon ko samaita
zehan kay niha’n khanon ko tatola
mager koi nishan nazar na aaya
koi sira na haath aaya
Yahan tak kay…
iss talaash main
soch kay paoon thak gay
khayaal saaray bhatak gay
yadain bhi khamosh raheen
aur hairaani say Mujhey taknay lageen
Kay!
Sirf aik jawaaz ki talaash nay
Merey andar kaisa toofaan barpa kar dia
phir main khud bhi thaknay lagi
magar habs tha kay barhta hi chala gya
Aankhoon mein jalan honay lagi
aur jab kuch samajh na aya too
Aik be-naam Aansoo
palkoon say sitaaray ki tarha toota
aur…
gaaloon pay bikhar gia
Amal
April 10, 2006, 12:26pm
2
Re: Be- naam Aansoo
GuL-e-Tasbeeh:
Be-Naam Aansoo (Nazm)
by Samina
Sirf aik jawaaz ki talaash nay
Merey andar kaisa toofaan barpa kar dia
phir main khud bhi thaknay lagi
magar habs tha kay barhta hi chala gya
Aankhoon mein jalan honay lagi
aur jab kuch samajh na aya too
Aik be-naam Aansoo
palkoon say sitaaray ki tarha toota
aur…
gaaloon pay bikhar gia
This part is very touching :k:…wesey aap ney kabhi bataya nahi ke aap ka takahallus Samina hey. Very nice, nazm bhi aur takahallus bhi
Re: Be- naam Aansoo
such a nice poem keep it up carez
Re: Be- naam Aansoo
Thanku loko, credit goes to samina:~)
Amal ji mein aapko kya kahoon Speechless
Amal
April 11, 2006, 12:36pm
6
Re: Be- naam Aansoo
Kuch na kaho…kuch bhi na kaho :~)
Sannan
April 12, 2006, 11:36am
8
Re: Be- naam Aansoo
how sweet if it can be in urdu fonts ......
system
April 12, 2006, 5:07pm
9
Re: Be- naam Aansoo
Aik be-naam Aansoo
palkoon say sitaaray ki tarha toota
aur...
gaaloon pay bikhar gia
sigh
Pyaari nazm hai Gul.. thank you for sharing :-)
Re: Be- naam Aansoo
Buhat khoubsurat ghazal hai..!
Re: Be- naam Aansoo
how sweet if it can be in urdu fonts ......
isskay liye time ka hona zaroori cheez hay:-)
Thanks for liking this poem -- safeena ,Sannan, prince, Anotherguppy, khamoshnigahein:-)
LP
April 16, 2006, 11:47pm
14
Re: Be- naam Aansoo
bohot khoob.......
keep it up......
Re: Be- naam Aansoo
GuL-e-Tasbeeh:
Be-Naam Aansoo (Nazm)
by Samina
Kal raat achanak…
aik baychaynii nay Dil pay
dastak dii
Aur Mein…
harbara kar uth baithi
Ghabra kar sochna chaha kay
yeh baychayni damangeer kiyon hai?
Kiyon Mera sukoon khafa ho raha hai?
Mein nay socha aur sochti chali gai…
khayaalon ko bikhera,
yaadon ko samaita
zehan kay niha’n khanon ko tatola
mager koi nishan nazar na aaya
koi sira na haath aaya
Yahan tak kay…
iss talaash main
soch kay paoon thak gay
khayaal saaray bhatak gay
yadain bhi khamosh raheen
aur hairaani say Mujhey taknay lageen
Kay!
Sirf aik jawaaz ki talaash nay
Merey andar kaisa toofaan barpa kar dia
phir main khud bhi thaknay lagi
magar habs tha kay barhta hi chala gya
Aankhoon mein jalan honay lagi
aur jab kuch samajh na aya too
Aik be-naam Aansoo
palkoon say sitaaray ki tarha toota
aur…
gaaloon pay bikhar gia
:halo: yea kab kie bat hae
Re: Be- naam Aansoo
wow...taht just gave me goose bumps...awesome sharing!