Be-khudi le gayi kahaan ham ko

*kyaa kahoon tum se main ke kyaa hai ishq *
*jaan kaa rog hai, balaa hai ishq *

*ishq hi ishq hai jahaan dekho *
*saare aalam main bhar rahaa hai ishq *

*ishq maashooq ishq aashiq hai *
*yaani apanaa hi mubtalaa hai ishq *

*ishq hai tarz-o-taur ishq ke taain *
*kahin bandaa kahin khudaa hai ishq *

*kaun maqsad ko ishq bin pahunchaa *
*aarazoo ishq vaa muddaa hai ishq *

*koyi khvaahan nahin mohabbat kaa *
tuu kahe jins-e-naarawaa hai ishq

*Meerji zard hote jaate hain *
kyaa kahin tum ne bhi kiyaa hai ishq?

Ulti ho gayin sab tadbeeren, kuchch na davaa ne kaam kiya

*ulti ho gayin sab tadabeeren, kuchh na davaa ne kaam kiyaa
dekhaa is beemaari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiyaa
*
*ahd-e-javaani ro-ro kaataa, peeree main leen aankhen moond
yaani raat bahut the jaage subah hui aaraam kiyaa
*
*naahaq ham majabooron par tohmat hai mukhtaari ki
chaahte hain so aap kare hain, hamko abas badnaam kiyaa
**sarazad ham se be-adabi to wehshat main bhi kam hi hui
koson us ki or gae par sajdaa har har gaam kiyaa
*

Be-khudi le gayi kahaan ham ko

*be-khudi le gayi kahaan ham ko *
*der se intzaar hai apnaa *

*rote phirate hain saari-saari raat *
*ab yahi rozgaar hai apnaa *

*de ke dil ham jo ho gaye majboor *
*is main kyaa ikhtiyaar hai apnaa *

kuchh nahin ham misaal-e-anqaa lek *
*shahar-shahar ishthaar hai apnaa

jis ko tum aasmaan kehate ho *
*sau dilon kaa Gubaar hai apnaa

Re: Be-khudi le gayi kahaan ham ko

wow - nice!