Jaantey they hum dono us ko nibha saktey nahi
Us ney wada karlia, mein ne bhi wada karlia
Ghair sey nafrat jo paali, kharch khud per hogayi
Jitney hum they, hum ne khud ko us sey aadha karlia
Shaam ke rangon mein rakh ker saaf paani ka glass
Aab-e-saada ko hareef-e-rangat-e-badah karlia
Hijraton ka khauf tha ya pukashish kehna muqaam
Kiya tha jis ko hum ney deevaar-e-jada karliya
Aik aisa shakhs banta jaa raha hon mein Muneer
Jis ne khud per band husn-o-jaam-o-badah karliya**