mujhay yeh puchna tha k bayizati kherab kaisay hoti hay?
meray khayal say meri urdu itnyyy bhi buri nahi hay…main nay to humesha bayizat hona suna hay…
yeh bayizati KHERAB kaisay hoti hay…bichari pehlay hi bay hay?soching![]()
Re: Bayzati kheraab
Yeh slang Urdu hai jo nayi nasal kay haathoon burri tarha maskh ho rahi hai.
Jesa keh darmeyan hota hai. Darmeyan mein nahi hota. Dar ka matlab pehlay hi mein hota hai. ![]()
Re: Bayzati kheraab
yeh right demayan main bhi sun rekha hay…per pata nahi kion dermayan main itna ajeeb nahi legta jitna bayzati kheraab legta hay…aur kuch aisay janenay walay hain bohet hi achi udrdu hay un ki per bayzati kherab kehtay hain:)
Re: Bayzati kheraab
^^ Aahoo Ahoo, aiko misaal mainu vee aandi aey:
**Lab-e-Sarrak day Kinaray Sang-e-Marr Marr da pathar **:D
:Pagri:
Re: Bayzati kheraab
Aab-e Zam Zam ka pani.![]()
Barhi bee, well Darmeyan mein looks very obvious to me.
Re: Bayzati kheraab
I agree with you, and I think Meyan is referred to Talyar wali meyan, so it is like a sword in between a meyan,
Re: Bayzati kheraab
BIG bee itna mat sochain warna ghutnoon main dard shoro ho jaeyga ![]()
Re: Bayzati kheraab
bechay yeh meray ghuthnay hain app k nahi jo sochnay per hil k reh jain :p
ghuthnay dukhna kaisay kehtay hain peshto main?
Re: Bayzati kheraab
^Ab agar bata doonga tou phir aap mujhay chairraingee :p
Re: Bayzati kheraab
soching becha main to thori si aqal hay heryaaaaaan hoing....ahem ahem nahi nahi main to apni General Knowledge main izafa kernay k liya pooch rehi thi
Re: Bayzati kheraab
even iam not that good in it ![]()
Re: Bayzati kheraab
Agaar beyizzatti ko fridge main na rakha jaye, toh wo garmi ki wajah se uss ke kharaab honay ka imkaan hota hai..
agar ho aisa ho jaye, then bayizzatti kharaab ho jati hai!!!
Re: Bayzati kheraab
wah bechay app nay to legta hay bayzati khraab honay main PHD ki hoi hay
Re: Bayzati kheraab
Aap har waqt hairaan aur parayshaan kiyun hoti hain …![]()
Re: Bayzati kheraab
mujhay abhi pata chela k app main thoriiiiiiiiiii si aqal bhi hay…ap heryaaan persiahn honay wali bata to hay nan ![]()
Re: Bayzati kheraab
^Ji naheen ... har baywaqoof dosray loggon ko bhi baywaqoof samajhta hay aap ki tarah :p
Re: Bayzati kheraab
ho hay ajj kal k bechay gez bher lambi zuban..........na adeb na lehaz.........berhi bee ko baywaqoof bol raha hay na makool*ghooring*+sedmay say bay hosh ho k neechay giring..........aray main kehti hoon gez bher lambi zuban lay k jao gay aglay ghar..ghooring.......2 din main hi saas monch (choti) say paker ker bahir maarain gin
uff yeh din bhi daikhna tha mujh bourhi nay*dupetay k pelou say ansu saaf kering*
Re: Bayzati kheraab
Khala itni nikki ja’ee zaban hay waikho ![]()
P.S:Aap ki posts parrh kar kissi ki yaad buhat shiddat say aati hay laikin kiya karain us ka naam naheen lay sakta ![]()
Re: Bayzati kheraab
ohh kidou…
toffee daeeing…becha sad ho diya …ohh
Re: Bayzati kheraab
Mr. Pk garga ka fasala ka mutabiq" Dam sta swaa":D
BB you are alset now