Bayopaar (My New Poem)


BAYOPAAR


***Jo Musaafir rahay hon dasht k un ko aksar
Safar Hayaat ka baykaar nazar aata hai

Saraab jaan k phir bhi ye sochtay hee rahay
Kyaa hai dhundlaa sa jo uss paar nazar aata hai

Tol daitay hain taraazoo main wo ash’aar mere
Shaaeri un ko bayopaar nazar aata hai

Jo Lagaay kisi nay daam meri chaahat k
“Abb to Har shakhs khareedaar nazar aata hai”

Din k dhalnay kaa intizaar kiya kyu’n na karai’n
Rukh-e-Anwar jo Shab-e-taar nazar aata hai

Kisi ki baat ka ye kaisaa asar hai Sajid
Abb to iqraar bhi inkaar nazar aataa hai

Sajid Raheem Sheikh

***Dedicated To Sir Sagar Siddiqui →

(Ye Jo Deewaanay se do chaar nazar aatay hai’n
In mai’n kuch saahib-e-asrar nazar aatay hai’n)

Such A Great Poet

Re: Bayopaar (My New Poem)

Welcome to GS Sajid :flower1: :slight_smile: Hope you enjoy your stay with us. You ghazal is a beautiful piece of poetry. You have done justice to being so deeply impressed by Sagar Siddiqui. A fan of his should have at least this much of command over the skill of writing. Hope to see more from you :slight_smile:

Re: Bayopaar (My New Poem)

Very nice sharing,welcome here,hope to see more from you:-)

Re: Bayopaar (My New Poem)

***Saraab jaan k phir bhi ye sochtay hee rahay

Kyaa hai dhundlaa sa jo uss paar nazar aata hai***

Wahh Wahh.... Bohat zabardastttt....
Kya baat hai janaab ki.... :-)
Is she'r ne to loott lia....Saaghar is my fav. too.... Wo bhi khush ho gaye honge wahan pe yaqeenan....
Likhte rahiye....khush rahiye.....
n
Welcome To SGS.... :-]

Re: Bayopaar (My New Poem)

A beautiful creation, welcome .

Re: Bayopaar (My New Poem)

aa gaye ho to chaa gaye ho tha kar k :) nice sharing wekcome:)