hosh vaalon ko Khabar kyaa beKhudii kyaa cheez hai
ishq kiije phir samajhiye zindagii kyaa cheez hai
un se nazarein kyaa mili raushan fizaaye.n ho ga_ii.n
aaj jaanaa pyaar kii jaaduugarii kyaa cheez hai
Khulatii zulfo.n ne sikhaa_ii mausamo.n ko shaayari
jhukatii aankhoun ne bataayaa maikashii kyaa cheez hai
ham labon se kah na paaye un se haal-e-dil kabhii
aur vo samajhe nahi ye Khaamoshi kyaa cheez hai
hanie
2
one of my favorite
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower2.gif
kurbaan djaha dil hoon
wahaa kimatein sar kja…
RahGeeR
3
maiN nazar se pee raha hooN ye samaaN badal na jaay
na jhukaaO tum nigaahaiN kaheeN raat Dhal na jaay.
miray ashk bhee haiN iss meiN ye sharaab ubal na jaay
miraa jaam Choonay waalay tiraa haath jal na jaay.
abhee raat kuch hai baaqee, na uTha naqaab saaqee
tiraa rind girtay girtay, kaheeN phir saNbhal na jaay.
miree zindagee ke maalik, miray dil pe haath raKhna
tiray aanay kee khushee meiN miraa dam nikal na jaay.
mujhay phooNknay se pehlay, miraa dil nikaal lainaa
ye kisee kee hai amaanat, miray saath jal na jaay.
Irfan Ismail
very nice
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~
[quote]
Originally posted by RahGeeR:
**maiN nazar se pee raha hooN ye samaaN badal na jaay
na jhukaaO tum nigaahaiN kaheeN raat Dhal na jaay.
miray ashk bhee haiN iss meiN ye sharaab ubal na jaay
miraa jaam Choonay waalay tiraa haath jal na jaay.
abhee raat kuch hai baaqee, na uTha naqaab saaqee
tiraa rind girtay girtay, kaheeN phir saNbhal na jaay.
miree zindagee ke maalik, miray dil pe haath raKhna
tiray aanay kee khushee meiN miraa dam nikal na jaay.
mujhay phooNknay se pehlay, miraa dil nikaal lainaa
ye kisee kee hai amaanat, miray saath jal na jaay.
**
[/quote]
Kya apne ye sunna hai?? Munni Begum ki awaaz mai hai mere pas ye song ya Ghazal jo bhi hia
its so super
itne pyare hain is ke tarz!!!! and nice shairy
RahGeeR
8
adaab & nawazish
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
wasey apas ke bat hay masoom si je .. marey pass Bhi hay yeah gazal
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif
Irfan Ismail