Baykaar apnay jee ko jalaati hai raat bhar

Baykaar apnay jee ko jalaati hai raat bhar Yeh yaad tujhay kis ki satati hai raat bhar

Jab is ki pohanch maiN nahee yeh dast e hinaai
Tou kiskay liay haath rachaati hai raat bhar

Hona wahee hai jo teri taqdeer maiN hoga
tu khuamakhua yeh sapnay sajaati hai raat bhar

Woh haasil e hayaat eik daireena tamanna
Halchal see ek seenay maiN machaati hai raat bhar

Ali woh baat khaatma thee saari baat ka
Jo baat hamaiN itna rulaati hai raat bhar

Ali

Hona wahee hai jo teri taqdeer maiN hoga
tu khuamakhua yeh sapnay sajaati hai raat bhar

bohat achi hai, :)

i mean poem:D

[QUOTE]
*Originally posted by Swera: *
Hona wahee hai jo teri taqdeer maiN hoga
tu khuamakhua yeh sapnay sajaati hai raat bhar

bohat achi hai, :)

i mean poem:D
[/QUOTE]

Thanks :)

khobsoorat:k::~)

Thanks :slight_smile:

bohat khoob :k:
PS

ye ali kon hai ???

Chando jee, Ali hum hee hain … Lol

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Chando jee, Ali hum hee hain .... Lol
[/QUOTE]

Really?

:):D

Wg itna na yaad kia karo koyal ko phir ana parta :stuck_out_tongue:

nice one :k:

Re: Baykaar apnay jee ko jalaati hai raat bhar

bhut khoobbb Ali :k:
thxs 4 sharing :slight_smile: