Daagh-e-qamar kee maaniNd
meri guftaar kaa saleeqa
Tafannun kee ik aadat say
rang-e-zindagi huvaa aaj pheekaa
yaar kuch aisay bichaR gaye haiN
jo thay dosti maiN apni yaktaa
meri ik haNsi nay kaisa
yeh zulm dhaa diyaa hai
zindagi maiN logouN kee
maazi nahiN bhaTaktaa
dosti kay daawouN maiN
woh pal pal jeenay waalay
abb naye dostouN kee mehfil maiN
ik peghaam day rahay haiN:
“badal gayaa zamaana, badal gaye haiN hum bhee
naie dosti par apnaa aitebaar naa bharosaa”
bay wafaaie karnay waalay ilzaam day rahay haiN
guftugoo kee koshish maiN, bay wafaaie hum kar gaye haiN
reh kar kh’mosh, dil kee tassalli jo naa humm kartay
hum bay wafaa tub bhee thay, hum bay wafaa ab bhee haiN
aik baar dil ko toRR kar O’ phir joRnay waalay Ab’r-e-Khushi say mujh ko ghum kaa meeNh dainay waalay
apnaa banaa kar ghairouN say pusst karnay waalay
tu nay iss dil ko sirf dau hee baar tau hai toRRaa
hahaha dau dafaa:) … ma’af tau ALLAH bhee kar daitaa hai laikin woh zaat jub maafi maaNgo maaf kar deti hai, Insaan aik dafaa aazmaataa hai, doosri dafaa moqaa detaa hai aur teesri dafaa dil paRh hee laitaa hai:p