Bay Khud Ki Yeh Daythay Hey
Bay khud ki yeh daythay hey andaaz hijabana
Aa dil mey thujhay rakh loon aey jalwae janana
Kyun aankh mila’ee thi kyun aag laga’ee thi
ab rukh ko chupa beyt-hay kar kay mujhay deewanah
Jis ja nazar aathay ho sajday wahi kartha hoon
iss say nahi kuch matlab kaba ho ya buth khana
Ji chahta hey thofay mainy bhaijooN mey unhin ankheyn
darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana
Mey howsh howaas apnay iss baath pey kho beyt-ha
hans kar jo kaha tu nay aaya mera deewanah
Duniya mey mujhay thu nay gar apana banaya hey
Mehshar mey bhi keh deyna yeh hey mera deewanah
Ithna tho karam karna aey chasm-e-karimaana
Jab jaan labooN par ho tum samnay aa jana
Baydam meri qismath mey sajday hey isi dar key
choota hey na chootay ga sang dar jananah
Maidane mehshar me tum saath khaday rehna
na jane KHUDA kuch pooche, aur na jane kya kehde ye diwana
Dil apne chamak uthe eemaan ki talat see
Kar ankheen bhi noraani aa jalwa aa janana
Har phool mein boo teri har shama mein zoo teri
Bulbul hai tera bulbul parwana hai parwana…