Bay dal k pattay
ShakhooN say juda, saa’ay say anjaan
Jidher hawa lay chalay
Doltay chalay, girtay partay chalay
RastooN say baykhaber
ManzilooN say na aashna
Bheegti barishooN main ser jhuka kay ro paray
Jhulasti dhoop main chitakh ker reh gay
AandhiyooN kay shoor main apni cheekhaiN daba’ay
Haanptay kaanptay hawa kay sath bhagay chalay
Or jo zara dam lenay ko rukaiN
Hawa kay thaperay na thehrnay daiN
Na gulshan kay makeenooN say shanasai
Na kisi dost ki hamrahi ka lateef ehsas
Dost in kay hotay hain jin ka pata hota hai
Koi makaaN hota hai
Milnay ka phir imkaaN hota hai
Bay daal k pattay kisay apna dost banaiN
KhizaaN nay inhain baygher ker diya
Hawao’oN nay kuch soochnay na diya
Aj jo soochnay baithay
To rang zard par gaya
Or younhi kisi k qadmooN talay
Chur mura ker reh ga’ay… bay daal kay pattay!
Re: Bay Daal Kay Pattay!
:( v.Nice
Re: Bay Daal Kay Pattay!
be daal k patty................nice
Re: Bay Daal Kay Pattay!
be daal k patty................nice:biggthumb
Re: Bay Daal Kay Pattay!
very nice Sheal
Re: Bay Daal Kay Pattay!
Bohat khoob Sheal..:k:
Re: Bay Daal Kay Pattay!
very nice g
Re: Bay Daal Kay Pattay!
Bohot shukria jee :)
Re: Bay Daal Kay Pattay!
Aj jo soochnay baithay
To rang zard par gaya
Or younhi kisi k qadmooN talay
Chur mura ker reh ga'ay... bay daal kay pattay!
v nice sharing sheal :)