Re: batao
^ is per to bohat saare ahadees hain ..mujhay mafhoomat yaad hain main woh bata daytee hoon refrence dekh ker bata doon gee
hadees ka mafhoom yeh k app salal Allaho alyhi wasalam nay fermaya
her nafs ka ja'nate ya dozkhee hona taqdeer main likh diya gaya hay ,,
sahab-e-karam main say kisi nay sawal kia phir hum Ammal kis ley kertay hain ..jab faisla ker diya gaya
app Salal allho layhi wasalam nay fermaya
tum ammal kertay rahoo is ley k Allah nay ahl-e-sa'adat k ley naik aamal asaan ker deye hain
or ahl-e-shaqawat k ley buray aamal assan ker deye hain
phir App salal allaho alyhi waslam nay sora la'yil ki yeh ayah tilawat fermayee
wa sadaqa bil husnsa . fasa nuyasir'hu lilusra .
wa kaz'aba bil husna .fasa nuyasirhu lilussra
tum in ayaat ki tafseer zaroor perho tumhain or zyada tasalle hasil ho gee