batain banana aur lapeetna

In desi culture, people claim which they really dont own/know.

:snooty:

Re: batain banana aur lapeetna

Jese?? :hmmm:

Re: batain banana aur lapeetna

lol...kia yaad dilaa dii...baateN banaanaa, lapeTnaa, DeeNgeN maarnaa, shaeiKhii baghaarnaa aur chhoRnaa bahot maqbool mashGhala hai. kabhii kabhii to sunne waale ko sharmindagii hotii hai k vo DeeNgeN maarne waale kii baat ko kaise yaqeen karne kii acting kare!!!...it's so obvious at times.

Re: batain banana aur lapeetna

jaeay, koi kahay kay ham aik kamray say dosray kamray main janay kay liye transport use kartay hian.

Lol oh acha.

Jese ke her cheez market Mai anay se pehley hamare ghar ati hai :smiley:

Re: batain banana aur lapeetna

bilkul. aik ko do batana. aur do ki char.

Wese kabhi kabbi koi aesi bat kehta hai to wo sach bhi hoti hai per log jhoot samjhte hain :hmmm:

Re: batain banana aur lapeetna

acha.

Re: batain banana aur lapeetna

Its not only in desi culture Sta bhai its evry where ..u know womens are women..loll

Re: batain banana aur lapeetna

you mean goriyan bhi phenkti hain

Re: batain banana aur lapeetna

Yeah but gorian do it in a more professional way :cb:

Re: batain banana aur lapeetna

How?

Re: batain banana aur lapeetna

Excuse me!!! Yeh Adat sirf orton Mai nahi :emmy:

Re: batain banana aur lapeetna

See this diamond ring my ‘woh’ give it to me. <---- may be like this :hmmm:

Re: batain banana aur lapeetna

ainey mai dekh liya ha kya aaj ? :faziy:

Re: batain banana aur lapeetna

maiN baateN 'lapeTne' aur 'chhoRne' kaa ek namoona pesh karuuN? :D

Re: batain banana aur lapeetna

^ nahi .. App ab reason bataye ke aesa karne Ki Kiya waja hai?

Re: batain banana aur lapeetna


jhooTii shaan jataane ke liye?

Re: batain banana aur lapeetna

Samne wale itne bewakoof hain ke unhe kisi Ki Shan ka andaza nahi houta :confused:

Re: batain banana aur lapeetna

hotaa hai…kiuN nahiiN hotaa? maiN ne apnii pahlii post meN yehii kahaa thaa k mujhe kabhii kabhii sharmindagii hotii hai aise logoN se jo is qadar lambii lambii chhoRte haiN jis par mujhe acting karnii paRtii hai k maiN unkii baatoN par yaqeen kar rahaa huN magar sochtaa huN k agar use kabhii pataa chal gayaa k maiN acting kar rahaa thaa to mujhe kitnii sharmindagii hogii…uskii Himaaqat pe ronaa bhii aataa hai k use aHsaas nahiiN k vo kia kah rahaa hai…lol