Re: Bashir Badr
Wah!:k:
Re: Bashir Badr
yea Na'aay mejaaz ka shayhar hai .. zara fasilay se mila karooo !
Re: Bashir Badr
Aj bohat dinoo bad kuch lika hai... us ghazal mein se ek shair
*mera koi ghar nahi jahan , Ghare DO ghare ko qayaaam hoo
Ab Khuda he janay , Gali mein kis mere zindagi ka shaam ho
*
Re: Bashir Badr
yea Na'aay mejaaz ka shayhar hai .. zara fasilay se mila karooo !
abay jahil kay lotay
Mejaaz nahi ... Mizaaj
Re: Bashir Badr
**AankhoN main raha dil main utar ker nahi dekha
kashti kay musafir ne samandar nahi dekha
Bay waqt ager jaaonga sab chonk paraingay
ik umer hui din main kabhi ghar nahi dekha
Jis din say chala hooN meri manzil pay nazar hai
aankhoN ne kabhi mail ka pathar nahi dekha
Yeh phool mujhay koi virasat main milay hain
tum ne mera kaantoN bhara bister nahi dekha
Pathar mujhay kehta hai mera chahnay wala
main moom tha us nay mujhay choo ker nahi dekha
Bashir Badar.**
Re: Bashir Badr
Wah wah ASA ... man Bashir Badr is amazing
Bay waqt ager jaaonga sab chonk paraingay
ik umer hui din main kabhi ghar nahi dekha
wah wah
Re: Bashir Badr
my fav... :)
Re: Bashir Badr
WOWW TLK ap auR poetry maiN aur one of ma fav shaa'er ki post :) thanks 4 sharing an welcome poetry land :)
Re: Bashir Badr
good one ..
Re: Bashir Badr
excellent sharing, TLK bhai.
best,
Dushwari
Re: Bashir Badr
mai kab tanha hua tha, yaad hoga
tumhara faisla tha, yaad hoga
boht se ujle ujle phool le kar
koi tum se mila tha, yaad hoga
udasi aor barhti ja rahi the
wo chhera bujh raha tha, yaad hoga
bichi theen har taraf ankhen hi ankhen
koi ansu gira tha yaad hoga
Re: Bashir Badr
bUhat Aalaa :k:
Re: Bashir Badr
Bohut khoob Mirage … is that also Bashir Badr
Here is one more of him .. I like him cause he uses easy words and has amazing flow in his Ghazals.
Re: Bashir Badr
Ujalay apni yaado kay hamaray sath rehnay do ... na janay kis gali may zindagi ki shaam ho jayay ..... wah!
Re: Bashir Badr
zabardast thread guys!
Re: Bashir Badr
***Tum jinhe phool samjhe ho, ankhen na hon
Paon rakhna zameen par zara dekh kar
Phir diye rakh gayen teri parchaiyan
aj darwaza dil ka khula dekh kar
Bashir Badar.***