ibn e Basheera , yani kay mairaa barkhurdaar , aaj kal farigh ul baal hay.
Isskool ki chuttiaN hain - raat koo 11 bajay tak cartoon daikhtaa hay - sara dinn apni maa ka sarr khataa hay - shaam koo mairay intezaar main baithaa hota hay
Jaisay hi main ghar main qadam ranjaa farmataa hoon - apni phatphatti , yani kay bicycle lay kay bahar janay ki farmaiesh
Mairee haalat tabah ho jati hay - double duty kay baad
Basheera is really in trouble these days
AQ
July 4, 2005, 11:17pm
2
Re: Basheera in trouble
Basheera says: Touch me not oye Abbayaa Oyeee :kaboom:
Re: Basheera in trouble
abay Basheeray ki itni himmat kahan
agar ibn e Basheera ko kuch keh doon tu Basheeran jaan ko aa jati hay
Re: Basheera in trouble
awwwwwwwwwwwww.. bilkul mere tarha hai mujh say milwa dain us ko…
Re: Basheera in trouble
u named ur kid basheera… and please let the kid have some fun for 2 months.. parents
JonyBr
July 5, 2005, 12:33am
7
Re: Basheera in trouble
I have seen him being incharge so i can imagine
Re: Basheera in trouble
I AM Basheera
My kid is ibn e Basheera
Illetrate Urdu Daan guppan
diyah
July 5, 2005, 10:26pm
10
Re: Basheera in trouble
James_Bhaand:
ibn e Basheera , yani kay mairaa barkhurdaar , aaj kal farigh ul baal hay.
Isskool ki chuttiaN hain - raat koo 11 bajay tak cartoon daikhtaa hay - sara dinn apni maa ka sarr khataa hay - shaam koo mairay intezaar main baithaa hota hay
Jaisay hi main ghar main qadam ranjaa farmataa hoon - apni phatphatti , yani kay bicycle lay kay bahar janay ki farmaiesh
Mairee haalat tabah ho jati hay - double duty kay baad
Basheera is really in trouble these days
bilqul sahi kartah hai…
sara din maa ka sar khane ke baad, bab ki bhi bari ani chahiyeh…
Re: Basheera in trouble
mairee bari kab aaiey gi :halo: ?
AQ
July 6, 2005, 12:24am
12
Re: Basheera in trouble
aap tau apni baari laY chuke haiN
dun tell me, last time, aap kee KAAF saY thee
Re: Basheera in trouble
bachhay hamaisha apni batting lay kay bhaag jatay hain
Mairee sara dinn piddii lagti rehti hay :(
diyah
July 6, 2005, 7:18am
14
Re: Basheera in trouble
kis ka sar khane ki?
I mean ke bashiran ( does parjaii know, what you have named her?) bechari sare din bache ke sath hothi hai, sham ko tumhe ibne bashira ko sambhlana chahiyeh.
:halo: with out any complains.
Re: Basheera in trouble
Paindoo Production ki Fakhriya Paish-Kash “BasheeRaa in TrouBle”
Jummay kay mubarak din say sheher kay tamam baray cenema’oun main numa’esh kay liya release kee jaa rahi hay…
Ma-u-c say bachnay kay liya aaj hi booking karwa-eya…
Jamaes bhaiyya