Re: Bas SATH SATH chaltay hain !
baRi khoobsoorati saY khiyaalaat ko alfaaz maiN dhaalaa hai... :)
laikin jub un'kahaY jazboN ko rishtoN kaa naam naheeN diyaa jaa saktaa ho tau ik waqt saath saath chalnaa bojh lagtaa hai.. aur jub saath saath chalnaa bojh ho jaaye tau Ta'arruf rog ho jaataa hai... aur Ta'arruf rog ho jaaye tau Saahir naY kahaa thaa:
Ta'aruff rog ho ja'aY tau usska bhoolna behtar
Ta'alluq bojh bun ja'aY tau usska toRna acha
Woh afsaana jissay anjaam tak laana na ho mumkin
Ussay aik khoobsoorat moR day kar choRna acha
Challo aik baar phir say ajnabi bun ja'aiN hum dono :~)