Bas SATH SATH chaltay hain !

Kuch Un’khay say
Jazboon kay
Jab naam hee nahe hotay
Tou mein or Tu kyon
darpay hain
apnay is Rishtay ko
Naam ek daynay ko
Un’chupee say khoshishain
Roz kartay rahtay hain
Job kay log , is duniya mein
Baynaam o Baykaam
jazbooN par
Umar kaat daytay hain
mein or tu nahe phir kyon
Is haseen Jazbay ko
akaylaa chor’daytay hain
is haseen jazbay ke
ek jo kahani hai
ba’naam’ay mOhbaat woh
dastan purani hai
or yeah mohbaat ke
bas dukh bahree kahane hai
jo meray dilay nadan nay
tere in hayraan ankhon ko
ab nahe suna’ne hai
is lehay kay ab kay mein
daikh he nahe saktah
daik na tu mushkil hai
soch hee nahe saktah
kay tere in ankhon say
aaskh ek be tapkay
Tuh ayhaad mein yeah kartah hon
jab talak nah Tuh chahay
apnay in Jazboon ko
Naam hum nahe dayain gay !
In Unkhay say jabzon ko
bas choray daytay hain
or SATH SATH chaltay hain !
Bas SATH SATH chaltay hain !

(Aliyish)

Re: Bas SATH SATH chaltay hain !

lobly:)

Re: Bas SATH SATH chaltay hain !

baRi khoobsoorati saY khiyaalaat ko alfaaz maiN dhaalaa hai... :)

laikin jub un'kahaY jazboN ko rishtoN kaa naam naheeN diyaa jaa saktaa ho tau ik waqt saath saath chalnaa bojh lagtaa hai.. aur jub saath saath chalnaa bojh ho jaaye tau Ta'arruf rog ho jaataa hai... aur Ta'arruf rog ho jaaye tau Saahir naY kahaa thaa:

Ta'aruff rog ho ja'aY tau usska bhoolna behtar
Ta'alluq bojh bun ja'aY tau usska toRna acha
Woh afsaana jissay anjaam tak laana na ho mumkin
Ussay aik khoobsoorat moR day kar choRna acha
Challo aik baar phir say ajnabi bun ja'aiN hum dono :~)

Re: Bas SATH SATH chaltay hain !

itni khaas nahi lagi.

Re: Bas SATH SATH chaltay hain !

Anwar Bahi , Shahir Ludyanvi pay guzree wardaat qalbi or iz naazm mein darpaish mushkil mein zameen o Assman ka farq sa hai , shahyad ap kay musha.eeday mein bee hoo , orr masal zaba’nay aaam hai kay ‘ dhood ka jala cha.aach be phoonk phoonk kay peetah hai ‘. Agar dono jaaniib Taaazaa raafaqaat.on say jaabh dil daar sa ho tu purani mohabatoon pay nahii chaha.toon kaa geelaaf char.ha nay mein kuch waqt tu lagtah hai ! shayad yea naazm aysay hee jaazbaat kaa aeenaa hai , I was just buying time to commit that mistake again .

Re: Bas SATH SATH chaltay hain !

Very True :)

Re: Bas SATH SATH chaltay hain !

:k:

Re: Bas SATH SATH chaltay hain !

its so touchy...very nice work....keep it up....

Re: Bas SATH SATH chaltay hain !

great poem, Aliyish.
Dushwari

Re: Bas SATH SATH chaltay hain !

Adab Araz hai !