**
Sahilon Sahilon Phira karte
zor chalta tu kia se kia karte
gar na hota makan matti ka
barishon ke lie dua karte
bas main hota tu khwab ki surat
teri aankhon main hum basa karte
hum ko likhne ka fan agar aata
hum tujhe chand sa likha karte
ban ke khushbo agar bikharna tha
tum hawa se tu mashwara karte
“Chashme Zahir” se dekhne wale
kion mere haq main faisla karte **