Ab hai mere paas kya
bas main aur meri tanhaayee…
Aksar karte rehte hain baatein
bas main aur meri tanhaayee…
Din to kat hi jaate hain duniya ki bheed mein
hote hain raat ke saathi
bas main aur meri tanhaayee…
Kabhi bhoole se bhi na liya tumne naam mera
karte hain bas tumhari hi baaatein
bas main aur meri tanhaayee…
Humkadam rehne ka waada karke door chale gaye kyun
talashti hain tumhe har pal har lamha
bas main aur meri tanhaayee…
Kahan kho gaye ho tum ae mere habib
raah dekhti hain har mod pe tumhari
bas main aur meri tanhaayee…
Ab hai mere paas kya
bas main aur meri tanhaayee…
Aksar karte rehte hain baatein
bas main aur meri tanhaayee…