Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna

**
Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna**
** Phir uskay baad reh-e-intizaar main rehna**

** Kabhi sukon kabhi khalafshaar main rehna**
** Humein azeez teray ikhtiyaar main rehna**

** Woh bay iraada teri khushbouon ko choo lena**
** Phir ik ajeeb se kaif-o-khumaar main rehna**

** Woh ik pal kay liye arzoo mohabbat ki**
** Phir ik umar safar kay ghubaar main rehna**

** Meri dua ko kahiin raasta nahiin milta**
** Jahaan bhi rehna isi intishaar main rehna**

Re: Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna

:hmmm:

Re: Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna

**Woh ik pal kay liye arzoo mohabbat ki
**Phir ik umar safar kay ghubaar main rehna

Muhabbat mein suffer..very valid :)****

Re: Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna

**Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna
**Phir uskay baad reh-e-intizaar main rehna

Dulhan ik raat ki?****

Re: Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna

Abhi aa`e nhi hy or Aap Dhaka dyny ki mansoba bandi kr rahay hyn:p