Bas Aik Lamhay Ka Jaghra Tha

Bas Ek lamhay Ka jaghra Tha
Dar-o-Dewaar Pay easay Chanaakay Say Geri Awaaz
Jesay kaanch Girta Hay
Har Ek Shay Mein Gaein
Urti Hui, Jalti Hui Kirchein
Nazar Mein, Baat mein, Lehjay Mein
Soach Or Saans Kay Andar
Lahoo Hona Tha Aik Rishtay ka
So Who Ho Gya US Din
Usi Awaaz Kay Tukray Utha Kar Farsh Say Us Shab
Kesi Nay Kaat Lein Nabzein
Na Ki Awaaz Tak Kuch Bhi
Keh Koi Jaag Na Jaye
Bas Aik Lamhay Ka Jaghra Tha
Bas Aik Lamhay Ka Jaghra Tha

Re: Bas Aik Lamhay Ka Jaghra Tha

Thanks for sharing :)

Re: Bas Aik Lamhay Ka Jaghra Tha

Aap itni ghamnaak poetry padh kar :) kaise hosakti hain

Re: Bas Aik Lamhay Ka Jaghra Tha

Mein kab hans rahi hoon :(

Re: Bas Aik Lamhay Ka Jaghra Tha

Bas Ek lamhay Ka jaghra Tha

:hmmm: