Bas aik andaza..
Baras guzray tumhain soway howe..
Utth jao … suntti ho … ab utth jao ..
Main aya hoon..
Main andazay se samjha hoon..
Yahan sowee howi ho tum..
Yahan !!
Ru-e-zameen ke is muqam-e-Aasmani,
Tarak-e-had main..
Baad-hay-tunnd ne,
Mere lea bas aik andaza hi chora hai.
—