**Na koi mosam hamaray mabain zindagi ki bashartoan ka!!
na koi izhaar zehn-o-dil ki tehoan main rehti rafaqatoan ki kahaniyoan ka…
na koi ehsas qurbatoan ka…!!
na aik barish main bheegtay hum kahien say guzray!!!
na jism-o-jaan ki mehek nay qadmoan ko dagmagaya…
na koi bhonchaal khwahishoan k badan main aaya!!
na hum nay ik duusray ki aankhoan say khwaab daikhay!!
na haath thamay hue wafa k safar pe niklay!!
na yaad rakha na raah bhoolay…
na hum nay ik duusray ki umroan k fark ko ik satah pe laa kar…
Misaal-e-harf-e-ghalat mitaya…
na dil main aisay kisi bhi ehsas ko jagaya!!
mgr ye zalim hawa nay kaisi fazaa bna di…
K abb yehi aik rasta hai
abb is pe chalnay say paun chalni bhi ho rahay hoan…
to hoant sii lain!!
jo khwab daikhay nahi thay hum nay!!!
unhi k honay ka zehar pee lain!!!**