Barsoon Ke Chahat Ko Ek Pal Main Badaltey Dekha Hum Ne
Toot Ker Chahnay Walay Ko Baat Sey Mukartey Dekha Hum Ne
Naaz Kertey They Jo Apni Wafaoon Per
Unhi Ko Bewafai Kertey Dekha Hum Ne
Kaisay Saja Lon Sapney Apni Udaas Ankhon Main
Her Khuwab Ko Tooth Ker Bikhartey Dekha Hum Ne
Kertay Thay Jo Wada Hamarey Sath Chalney Ka
Phir Unhi Ko Rasta Badaltey Dekha Hum Ne
Aitbar Nahi Raha Kissi Per Ab Kya Karain
Is Aitbaar Ko Kaye Baar Toottey Dekha Hum Ne.