Barsoon baad mein us se mila
Sab kuch waise ka waisa hi thaa
Kuch bhi tu nahee badla thaa
Farq thaa bhi tu sirf
Itna mamooli sa ke
Ussay mil gaya thaa Hamsafar ek naya
Aur mein
Akela hi thaa pehle ki tarah … ![]()
Re: ~ Barsoon baad mein us se mila ~
**
Bahut Barsoon pehlay kisi nay kaha thaa.....
Humara aur tumahra ,
Yeh jo dosti ka rishta hai ,
Issay yoon he qaaim rakhna ,
is aitBaar k rishtey ko ,
Sada yon he mazboot rakhna ,
is pur kholoos rishtey ko ,
Tum sada yon he Roshan rakhna,
Yeh jo bey-gharz sa pak rishta hai ,
us ko tum hifazat sey rakhna,
Agar yeh rishta toot gayah tu ,
Meri zindagi main kuch na reh jayeh ga,
Meri zindagi bikhrey hovey ,
Motiyoon ki manid bikar jaye gi ,
Lehaza !!!
Is rishtey ki tum ta-umar hifazat karna,
Jaisay seep main mootiee......:(
!!
Sirf Ashk nahin Uski Huzoori ka Wasila
Chahaat hai tu Phir Nudraat-e-Kirdaar Bhi Laoo
~Ishq nay Paal main Badal Di Meri Saari Duniya
Main nay Dekha Kay Meri Zaat na Thee Pehli Si~ :)
**
Re: ~ Barsoon baad mein us se mila ~
...:(