abru khinche khinche se, aankhein jhuki jhuki si
baatein ruki ruki si, lehjaa thaka thaka sa
alfaaz they ke jugnoo awaaz ke safar mein
ban jaey jangalon mein jis tarha raasta sa
khwaabon mein khwaab usske, yaadon mein yaad usski
neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rut jaga sa
pehley bhi log aaey kitney hi zindagi mein
woh har tarha se lekin auron se tha judaa sa
agli mohabbaton ne woh namuraadiyaan diin
nayi rafaqaton se dil tha dara dara sa
kuch yeh ke muddaton se hum bhi nahi they roey
kuch zehr mein bhuja tha ehbaab ka dilaasa
phir yun hua ke saawan aankhon mein aa basey they
phir yun hua ke jaisey dil bhi tha aabla sa
ub sach kahein tu yaaron humko khabar nahi thi
ban jaaey ga qayamat ik waaqia zara sa
tevar they beyrukhi ke andaaz dosti ka
woh ajnabi tha lekin, lagta tha aashna sa
hum dasht they ke darya, hum zehr thee ke amrit
nahuq tha zom humko jub woh nahi tha pyaasa
humne bhi ussko dekha kal shaam ittefaqann
apna bhi haal hai ub logon ‘Faraz’ jaisa