Barson ka Safar

**Intezar-e-saba raha barson **
Ik dareecha khula raha barson

Aik din unka pyar barsa tha
Aur main bheegta raha barson

Unki ankhon ke jaam yaad rahe
Bin piye bhi nasha raha barson

Tab kahin ja ke ik ghazal likhi
Main usay sochta raha barson

Faslay kam na ho sake Mohsin
Aamna saamna raha barson…

Re: Barson ka Safar

nicee

Re: Barson ka Safar

v coollll

Re: Barson ka Safar

bohat nice

Re: Barson ka Safar

Faslay kam na ho sake Mohsin
**Aamna saamna raha barson....

Bohat khoob
**

Re: Barson ka Safar

gud choice.