barsay bina..

yunhi chaltay huway, raaston mai kai
hamsafar jo milay aur bichhaRtay gaey
na kabhi mai nay phir muR kay daikha unhay aur na socha kabhi
woh kahaan kho gaey
jo gaey, so gaey

phir yeh kaisay huwa
yunhi aik ajnabi, dil mai utra nazar mai sama sa gaya
aur dhanak rang jazbay saja sa gaya
jaisay baadal koi bayiraada yunhi
meri chhat pe ruka aur barsay bina uss pay thehra raha
kiya tamasha huwa, saamnay thi nadi
aur koi tishna lab uss ko takta gaya aur piyaasa raha

yunhi chaltay huway
aik lamhay mai simtay gi daastaaN
kis ko maloom tha
tum milo gay mujhe iss tarah baygumaaN
kis ko maloom tha
kis ko maloom tha
kis ko maloom tha

Nice one Shahzadi Sahiba :k:

Excellent

I mean Shehzadi Sahiba :hoonh:

Nice :k:

Very nice.........

:k: