Ajnabi bastiyon ke safar pe ja rahe ho
Tou yaad rakhna
Jahan bhi raho
Kahchi pakki barsaton mein
Dil ka khayal rakhna
Aur munderon se jhankti judaiyon
Aur kamre mein ghaat lagaye baithi
Tanhaiyon ke mausam
Kisi bhi hosle per aitabaar mat karna
Guzre dinon ki hur udasi aur afsurdagi sambhal rakhna
Aur agar yaadon k qaafle
Aur visal geeton ki toliyan
Kooch karne lagaein
Tou un ka daaman thham lena
Aur hnhein kahin bhi jaane na dena
Poet:Farhat Abbas Shah