Mausam hai Baarish ka
aur yaad tumhari aati hai
Baarish kay har ek Qatre sey
awaaz tumhari aati hai
Badal Jab Garajtay hain
Dil ki Dharkan barhati hai
Or Dil ki har ek dharkan sey
awaz tumhari aati hai
jab tez hawain chalti hain
tou Jaan humari jaati hai
Mausam hai baarish ka
aur yaad tumhari aati hai…
*Baarish, bijlee
Yeh mitti ka tufaan
Aur kisi ke aanay ka intezaar
Mausam kuch aisa ke
Gar is barish ke rukne ki dua mangta hon
Tu mausam ko ganwaata hoon
Aur gar yeh mausam rahay tu kisi ka aanaa
Na mumkin sa lagta hai
Sakht kashmakash mein hoon kya karoon
Donoo milain tu milain
Gar nahee tu
Be-maeeni sa hai sab kuch... *
Aaj baarish ho rahi thi
Aaj phir in boondon main yaad thi tumhari
Na jaane kya kashish thi
Rimjhim in baarish ki boondon main
Jo mujhe kheench lati hai tumhare paas
Yeh jaanti hoon ki nahi chahte ho tum mujhe
Par zaroori to nahi ki is baat ko main manoo bhi
Jo kabhi miloge To puchungi tumsey
Kya yeh baarish tumhe bhi satati hain
Pyar na sahi..................
Nafrat se bhari hamari bhi kuch yaadein lati hain....