Aj phir dubai me barish huyi, pani nay yadon pe chayi dhundh ko phir dho dya aisay mausam ki feelings he ajeeb hoti hain jo lafzon me bayan nahi hosakti, andhairay ghar me tanha coffe k saath cigerate peetay huay yeh nazm tumharay lye
Jitna barasna tha baras gayi
ankhain uss ki deed ko taras gayin
be qarar o muztarib rehnay laga hai
dil bhi saray ikhtyar khonay laga hai
aey hawa
to hekahin say laa
khushboo main basa
paighaam usska
yonhi har ek ahat pe hota hai
gumaan usska
phir bhi kahin milta nahin
nishaan usska