Yeh daulat bhi lay lo yeh shohrat bhi lay lo
Bhalay cheen lo mujh say merey jawani
Magar mujh ko lauta do bachpan ka sawan
Wooh kaghaz ke kashti wooh barish ka pani
Mohalay ke sab say purrani nishani
Wooh burrheaa jisay bachay kehtay thay nani
Wooh nani ke batoon mein paryoon ka dairra
Wooh chehray ke jhureoon mein sadeeoon ka phayra
Bhula aay nahein bhole sakta hai koi
Wooh chotee see ratain wooh lambi kahani
Karrii dhoop mein apnay ghar say nikalna
Wooh chireaa, wooh bulbul wooh titlee pakarrna
Wooh gureeaa ke shadee mein larrna jhagarna
Wooh jhoolon say girrna wooh girr kar sambhalna
Wooh peetal kay chaloon kay pyaray say tohfay
Wooh tutee hoee chureeoon ke nishani
Kabhi rait kay oochay teloon pay jana
Gharoonday banana bana kar mitana
Wooh khaboon khiloonon ke jageer apni
Wooh masoom chahat ke tasveer apni
Duniya ka gham tha na rishtoon kay bandhan
Barree khoobsurat thee wooh zindagani ..