**Barishon ke mausam mein
dil ki sarzameenon per
gard kyun bikharti hai
isterhan ke mausam mein
phool kyun nahin khiltay
loag kyun nahin miltay
kyun faqat ye tanhai saath saath rehti hai
kyun bicharnay waalon ki
yaad saath rehti hai
itni taiz barish se
dil k ainay per say
aks kyun nahin dhultay
zakhm kyun nahin mit’tay
neend kyun nahin aati
barishon ke mausam mein
aankh kyun barasti hai
ashk kyun nahin thamtay
subha kyun nahin hoti
raat kyun nahin dhalti
asman pe saay bhi munjamid se rehtay hein aur dil k darvazay kyun kabhi nahin khultay saay kyun nahin dhaltay
chand kyun nahin aata
asman sajanay ko
aur ye sitaray bhi
kyun nahin nikaltay hein
barishon ke mausam mein
tum hi humko samjhao
loag kyun nahin miltay
phool kyun nahin khiltay
ashk kyun nahin thamtay
neend kyun nahin aati!**