barishon ke mausam mein

barishon ke mausam mein
dil ki sarzameenon per
gard kyun bikharti hai
isterhan ke mausam mein
phool kyun nahin khiltay
loag kyun nahin miltay
kyun faqat ye tanhai saath saath rehti hai
kyun bicharnay waalon ki
yaad saath rehti hai
itni taiz barish se
dil k ainay per say
aks kyun nahin dhultay
zakhm kyun nahin mit’tay
neend kyun nahin aati
barishon ke mausam mein
aankh kyun barasti hai
ashk kyun nahin thamtay
subha kyun nahin hoti
raat kyun nahin dhalti
asman pe saye bhi
munjamid se rehtay hein
aur dil k darvazay
kyun kabhi nahin khultay
saye kyun nahin dhaltay
chand kyun nahin aata
asman sajanay ko
aur ye sitaray bhi
kyun nahin nikaltay hein
barishon ke mausam mein
tum hi humko samjhao
loag kyun nahin miltay
phool kyun nahin khiltay
ashk kyun nahin thamtay
neend kyun nahin aati!

by:maheen

Re: barishon ke mausam mein

No doubt, its a Masterpiece and I hope it will be selected as the best nazm… You really have done a great job :k::k::k:

and thanks a lot for sharing …

wah bahut khoob MS!

Wah jee wah… kya khoob hai… :k:

Re: barishon ke mausam mein

[QUOTE]
*Originally posted by maheen sajid: *
barishon ke mausam mein
dil ki sarzameenon per
gard kyun bikharti hai
isterhan ke mausam mein
phool kyun nahin khiltay
loag kyun nahin miltay
kyun faqat ye tanhai saath saath rehti hai
kyun bicharnay waalon ki
yaad saath rehti hai
itni taiz barish se
dil k ainay per say
aks kyun nahin dhultay
zakhm kyun nahin mit'tay
neend kyun nahin aati
barishon ke mausam mein
aankh kyun barasti hai
ashk kyun nahin thamtay
subha kyun nahin hoti
raat kyun nahin dhalti
asman pe saye bhi
munjamid se rehtay hein
aur dil k darvazay
kyun kabhi nahin khultay
saye kyun nahin dhaltay
chand kyun nahin aata
asman sajanay ko
aur ye sitaray bhi
kyun nahin nikaltay hein
barishon ke mausam mein
tum hi humko samjhao
loag kyun nahin miltay
phool kyun nahin khiltay
ashk kyun nahin thamtay
neend kyun nahin aati!

by:maheen
[/QUOTE]

wonderful

very nice…:flower2:

It is a beautiful poem.i expect more beautiful things from u.
best regards.

[QUOTE]
*Originally posted by cuteAmir: *
It is a beautiful poem.i expect more beautiful things from u.
best regards.
[/QUOTE]
barishon k mausam main,
is tarah to hota hai.

Re: Re: barishon ke mausam mein

thanx alot.

thanx