barishain aise to na thi
khoufzada karndenay wali
jee dehlany aur pairon ko
mismaar kardenay wali
barishain aise to na thin
barishain aur tarah ki thin
udass kardenay wali
aur yaad dilany wali
janay kia kia kuch yaad dilanay wali
aur kabhi kabhi rula denay wali
chup laga denay wali
mujhay guman tak nahi tha
main kabhi aisi nazm likhongi
jiss main barish say
pyar k bajaye khouf hoga
main nay to socha tak nahi tha
kabhi barish say main yeh kahongi
chali jao
baras nahi paoo
khuda k lye chali jaoooo
wah bohat khoob waqai insaanon ke tarah barishein b badal gayee hain bohat sey ghar ujar detei hain Allah reham karey .anyways bohat he pyari poetry hai beautiful
wah bohat khoob waqai insaanon ke tarah barishein b badal gayee hain bohat sey ghar ujar detei hain Allah reham karey .anyways bohat he pyari poetry hai beautiful