Re: Barish wali poetry
:D mera khyal ye plan back fire kr gaya
Deyar-e-habs may taza hawa ki umeedain!!!
hamain hain bay wafa say phir wafa ki umeedain...
Re: Barish wali poetry
:D mera khyal ye plan back fire kr gaya
Deyar-e-habs may taza hawa ki umeedain!!!
hamain hain bay wafa say phir wafa ki umeedain...
Re: Barish wali poetry
Aye barish zara tham ke baras,
Jab mera yaar aa jaye to jam ke baras,
Pehle na baras ki woh aa na sake,
Phir itna baras ki woh ja na sake…
Re: Barish wali poetry
Deyar-e-habs may taza hawa ki umeedain!!! hamain hain bay wafa say phir wafa ki umeedain...
Saanp k dasne k baad bhi usay palna bewaqofi hai :)
Re: Barish wali poetry
Do you google ya aap itne songs sunte haiN k yaad rehta hai ?![]()
Re: Barish wali poetry
this one is one of the most popular songs of Wahid Murad. so I remembered it while reading multe julte paras ![]()
Re: Barish wali poetry
Mujhe ye nai yaad rehta k parson kya khaya tha…aapko itne purane songa yaad rehte hain ![]()
Re: Barish wali poetry
muje bhi parson ka khaya yaad nahin ![]()
Re: Barish wali poetry
![]()
Re: Barish wali poetry
din ko khyal-e-yar mein rehna,taare gin'na raaton ko,
duniya wale kia samjhein ge dil walon ki baaton ko,
**
sawan aaya badal chhaaey bulbul chehki phool khile,
tumi nahi jab barsaton mein aag lage barsaaton ko,**
jhoote waade jhooti qasmein jhoote saare qoul qarar,
in baaton mein kia rakha hai rehne do in baaton ko,
dard-e-muhabbat zakhme-e-judai tum to de kar bhool gaey,
dil se laga kar hum ne rakha teri in soghaaton ko,
I love the highlighted part esp.
Re: Barish wali poetry
Dedicated to Habs ( Karachi walon kay liey esp)
[Bars sake to bars jaye is ghari warna
Bkhair dale gi badal ke saray khawab hawa](porkbun.com | parked domain)
Re: Barish wali poetry
main barish le ker ayi thi yaahan tu habs start hugaya ![]()
Re: Barish wali poetry
hmmmm
mehfil waloon nay aap ko naye zaiqay say ashnaa karwa diya…
Re: Barish wali poetry
Na Need Aaye Raaton Ko
Na Chaen Aaye Din Bhar
Khuda Se Puchha Maine..
Kya Ye Pyar Ka Bukhaar Hai?
Khuda Ne Jawaab Diya..
Arre Nahi Garmi Mei Sabka Hi Aesa Haal Hai…
Restored attachments:
Re: Barish wali poetry
lolz
Re: Barish wali poetry
ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii
muhalle kii sabase nishaanii puraanii
vo budhiyaa jise bachche kahate the naanii
vo naanii kii baaton mein pariyon kaa deraa
vo chahare kii jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa
bhulaae nahiin bhuul sakataa hai koi
vo chhotii sii raaten vo lambii kahaanii
kadii dhuup mein apane ghar se nikalanaa
vo chidiyaa vo bulabul vo titalii pakadanaa
vo gudiyaa kii shaadii mein ladanaa jhagadanaa
vo jhuulon se giranaa vo gir ke sambhalanaa
vo piital ke chhallon ke pyaare se tohafe
vo tuutii hui chuudiyon kii nishaanii
kabhii ret ke unche tiilon pe jaanaa
gharaunde banaanaa banaake mitaanaa
vo maasuum chahat kii tasviir apanii
vo kvaabon khilaunon kii jaagiir apanii
na duniyaa kaa gam thaa na rishton ke bandhan
badii khuubasuurat thii vo zindagaanii !!!
Re: Barish wali poetry
khi mian baarish nahi ho rahee..is ley koi shair nahi yaad aa raha
Re: Barish wali poetry
band sheeshoon kay paray daikh, dareechoon kay idhar
sabz paiRroon pay, ghhani shaaKhoon pay, phoolon pay wahan
kesay chupchaap barasta hay musalsal paani
kitni aawaazain hain, ye log hain, baaten hain magar
zehan kay peechhe kisi aur hi sat-ha pay kaheen
jaisay chupchaap barasta hai tasavvur tera
Re: Barish wali poetry
bublbul cheekhi.. how un poetic ![]()