Barish wali poetry

Re: Barish wali poetry

ufhhhhhh aisi barish :wub:

For ASif :hehe:

Kuch Nasha to app ki baat ka hai
kuch Nasha To dheemi bersaat ka hai
Humein app yun hi sharabi Na khayie
IS dil per ASer to app se mulaqaat ka hai

Re: Barish wali poetry

Main ney uss se pocha tha
kya dhoop main barish huti hai??
Wo hasntey hanstey roney lagi
Aue dhoop main BArish huney lagi??:konfused:

Re: Barish wali poetry

is dafa sawan may teri yaad k badal rahay...
is dafa may khooob roya barishoon k sath sath...

Re: Barish wali poetry

mujhay nahi pata tha...

Re: Barish wali poetry

Agali baar un se poch ke post kijiye ga :omg:

Re: Barish wali poetry

acha…application deni ho ge pehlay? ya waisay hi ?

Re: Barish wali poetry

nai…bs dekha tu kuch yaad aa gaya… porani aik or post bhi karta hon abhi dhoond k…

Re: Barish wali poetry

application sahi rahey gi :shireen:

Re: Barish wali poetry

AJJ jab barish hui
Yeh bhi aik khiyal aaya

kiun na aik badal ko
Razdaan banaoon main

Jo bi mujh pe guzri hai
Ous ko sab sunaoon main

Tum say jo kehna hai
Ous ko sab bataoon main

Phir tumhare Dil pe
AJJ he barass jaye

Love:
Cutenice62

http://www.paklinks.com/gs/intikhaab/513769-aaj-jab-barish-hui-by-seeing-todays-rain-in-lahore.html

Re: Barish wali poetry

In BArishun sey Adab-e-Mohabbat sekho FAraz :wub:

Ager ye Ruth jayein Tu BArasti Bohot hain :snooty:


IN barishun sey ADab-e-mohabbat sikhu farih
Ager kisi ney dehk liya tu bohut parey gi :hehe:

Re: Barish wali poetry

Ye barishain bhi tum si hain,
Jo baras gayi tou bahaar hain,

Jo thehar gayi tou qaraar hain,
Kabhi aa gayi yunhi be’sabab,

Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab,
Kabhi shor hai, kabhi chup si hain,

Ye barishain bhi tum si hain,
Raat ko ik dabi hui si raakh ko,

Kabhi yun hua ke bujha dia,
Kabhi khud se khud ko jala dia,

Kahin boond boond mein gum si hain,
Ye barishain bhi tum si hain..

Re: Barish wali poetry

Kai rog dey gai hai naye mausmon ki barish...
Mujhay yaad aa rahay hain mujhay bhool janay walay...

Re: Barish wali poetry


Restored attachments:

Re: Barish wali poetry

meray shair ko kion repost kiya? bus urdu may convert kar k?

Re: Barish wali poetry

بارش اور محبت
دونوں ہی بہت
یادگار ہوتے ہیں
فرق صرف اتنا ہے
بارش میں جسم بھیگ جاتا ہے
اور
محبت میں آنکھیں

Re: Barish wali poetry

main bhi us time post ker rahi thi or pp bhi abb tu hu gaya :whistling:

Re: Barish wali poetry

hmmm

Re: Barish wali poetry

:bummer: ab Habs wali poetry post karo

:smiley: mera khyal ye plan back fire kr gaya

Re: Barish wali poetry


Restored attachments: