Barish ki ek ek boond is dil ko unki yaad dila gae

Aaj phir achanak hamare shehar mein barsaat huwi... Barsat ka hona dil ko acha tu bahut lagta hai, Baarish ke saath hi mitti ki khushboo kya kahain ke **baarish ki ek ek boond is dil ko un ki yaad dila gaee**... mera dil chaaha ke mein aap sab ke sath yeh khoobsurat alfaaz share karoon.. !

Baarish, bijlee
Yeh mitti ka tufaan
Aur kisi ke aanay ka intezaar
Mausam kuch aisa ke
Gar is barish ke rukne ki dua mangta hon
Tu mausam ko ganwaata hoon
Aur gar yeh mausam rahay tu kisi ka aanaa
Na mumkin sa lagta hai
Sakht kashmakash mein hoon kya karoon
Donoo milain tu milain
Gar nahee tu
Be-maeeni sa hai sab kuch…*

Its beautiful Amarbail :k:
Karachi mein mattee kee khhushboo kahan?

Barish jab hoti hai tu apne saath yeh khushboo laati hai… shayad aap ne kabhi mehsoos na ki ho… Thx for your reply !

[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *

Barish jab hoti hai tu apne saath yeh khushboo laati hai... shayad aap ne kabhi mehsoos na ki ho... Thx for your reply !
[/QUOTE]

Mujhe apne gaaonmein to mehsoos hotee hai, yahan kabhee naheen huee!

Yeh mitti ka tufaan

gives the reader a great picture,ty for sharing:flower2: .

Glad to know u use ur imagination :slight_smile:

very nice :)

Beatifull…:flower1:

wah....bohat khoob.

:-)

:k: