Barish Ka Woh Bhega Pani

Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh Nazakat
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?

Kuch Likhna chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon To Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soi Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhon

Re: Barish Ka Woh Bhega Pani

nice once again Uzma

Re: Barish Ka Woh Bhega Pani

bohat ala

Re: Barish Ka Woh Bhega Pani

Very Sweet..

Re: Barish Ka Woh Bhega Pani

very nice. thx for sharing :)

Re: Barish Ka Woh Bhega Pani

Bohat khoob uzma_dxb :k: Umda tehreer hey. Thanx for sharing :slight_smile:

Re: Barish Ka Woh Bhega Pani

great