bari taa'kheer se tum ko sitarooN ka hisaab aaya

***

tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne baarhaa poocha
k dil ke khail meiN kya jeetne wale bhi roteY haiN
wo jiN ki chasme khudbee aurooN ko dekha nahi karti
bhala kis gham se dil ke taaR meiN mooti piroteY haiN

tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne barhaa poocha
k kya maaninde sheesha patthar meiN baal aata hai
assaR angaiz hai ab tak muhabbat ka wohi jazbaa
jo aiseY hosh mandooN ko bhi yuuN pagal banata hai

tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne barhaa poocha
miza-je husN meiN yuuN yak bayak kya inqilaab aaya
sitaara dekhna aur dekh kar afsurda ho jaana
bari taa’kheer se tum ko sitaroon ka hisaab aaya

tumhaRi bheegti palkooN se mein ne baarhaa poocha
k tarke rabt per kya mujh se wehshi yaad aate haiN
ta’aluq torna asaan thaa tu keoN aankh yeh nam hai
ana parwaR jafa paisha bhi yuun aansoo bahaate haiN

tumhaRi bheegti palkooN se mein ne baarhaa poocha
k jalneY aur jalaa’neY meiN bhala keoN lutf aata hai
bas ek jhooti aa’na ke waste barbaad ho jaana
khudi ke zeam meiN insaN kitne dukh uthaata hai***

wah ji kya kehna aap ki poetry kaa
its marvelloussss :k:

Re: bari taa’kheer se tum ko sitarooN ka hisaab aaya

Amazing stuff NikamiJi:k:…jitni taareef ki jaaey, kam hey. Is baar to nazm ho the month bhat jaldi hi aa gai;)…thanx a lot for sharing this beautiful piece with us:)

Re: bari taa’kheer se tum ko sitarooN ka hisaab aaya

bohat khoob :k:
btw kis ki palkoon say pocha :wink:

pasand aayi:k:

Bohat Khoob Janu ji :)
Thanks for sharing

Re: Re: bari taa’kheer se tum ko sitarooN ka hisaab aaya

Haan tell tell :wink:

Very nice

Wah :k:

bari taa’kheer se tum ko sitaroon ka hisaab aaya

waqee :k: maza agia

p.s. nakamay hi to taa’kheer kartay hain.

keb pochah tah :crying:
nikamijee h r u ?:hug:

"Tumhaari bheegtii palkoN say maiN nay baarhaa puuchaa"

Amazing NJ:-)

tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne baarhaa poocha
k dil ke khail meiN kya jeetne wale bhi roteY haiN
wo jiN ki chasme khudbee aurooN ko dekha nahi karti
bhala kis gham se dil ke taaR meiN mooti piroteY haiN

tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne barhaa poocha
k kya maaninde sheesha patthar meiN baal aata hai
assaR angaiz hai ab tak muhabbat ka wohi jazbaa
jo aiseY hosh mandooN ko bhi yuuN pagal banata hai

tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne barhaa poocha
miza-je husN meiN yuuN yak bayak kya inqilaab aaya
sitaara dekhna aur dekh kar afsurda ho jaana
bari taa'kheer se tum ko sitaroon ka hisaab aaya

tumhaRi bheegti palkooN se mein ne baarhaa poocha
k tarke rabt per kya mujh se wehshi yaad aate haiN
ta'aluq torna asaan thaa tu keoN aankh yeh nam hai
ana parwaR jafa paisha bhi yuun aansoo bahaate haiN

tumhaRi bheegti palkooN se mein ne baarhaa poocha
k jalneY aur jalaa'neY meiN bhala keoN lutf aata hai
bas ek jhooti aa'na ke waste barbaad ho jaana
khudi ke zeam meiN insaN kitne dukh uthaata hai


now i can also read it :)
dont know why Italics i dont like :D


Very Nice Choice, bulkay Excelent.....


mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
haal jo teraa ana??? karatii hai

dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N
baat kuchh aur huaa karatii hai

abr barase to inaayat us kii
shaaKh to sirf duaa karatii hai

masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa
faisalaa sirf havaa karatii hai


zabardast

bohat khoooooob

[thumb=B]Beagif.JPG[/thumb]

wah…beautiful :flower1:

Re: bari taa'kheer se tum ko sitarooN ka hisaab aaya

[QUOTE]
Originally posted by NikamiJano: *

**

bari taa'kheer se tum ko sitaroon ka hisaab aaya


[/QUOTE]

wah wah wah keya baat kehi hae zalim nae:(

beautiful:k::k: